gulzar ke nazm

These are two interesting Gulzar poems.

The first one is “Maut”(Death) . It’s from Anand, my favourite movie, and it’s recited in my favourite scene in the movie.

maut

[direct audio link]
[audio:http://www.jaaduhai.com/tunes/adnan/bol5/kavita1.mp3]


maut tu ek kavita hai
mujhse ek kavita ka vaada hai, milegi mujhko

doobti nafzoon mein jab dard to neend aane lage
zard sa chehra liye chand ufak tak pohnche
din abhi paani mein ho, raat kinare ke kareeb
na andhera, na ujaala ho
na abhi raat, na din
jism jab khatm ho, aur rooh ko jab(*) saans aaye

mujhse ek kavita ka vaada hai, milegi mujhko

(*) The word “jab” is in the actual poem, however I left it out while reciting.

The second poem needs no introduction.

naam tera

[direct audio link]
[audio:http://www.jaaduhai.com/tunes/adnan/bol5/naamtera.mp3]


nazm uljhi hui hai seene mein
misre atke hue hain hothoon par

urte phirte hain titliyoon ki tarah
yeh(*) lafz kaagaz pe baithte hi nahin

kab se baitha hoon main jaanam
saade kaagaz pe likh ke naam tera

bas tera naam hi mukammal hai
is se behtar bhi nazm kya hogi
——

(*) “yeh” is actually not in the poem. It made it it a lot easier to recite with the “yeh”.

4 thoughts on “gulzar ke nazm”

  1. Mitra,
    “Zindgi to bewafa hai..ek din thukrayegi
    Maut Mehbooba hai..jo ek din mil jaegi…”

    Waise, bat sahi hai ki pahle ‘Ye lamha filhal ji lene de..’
    Ek sahi jiya hua aadmi hi maut ko sahi mayne me tawazoo de sakta hai…

    Sabba khair!

  2. Mitra,
    “Zindgi to bewafa hai..ek din thukrayegi
    Maut Mehbooba hai..jo ek din mil jaegi…”

    Waise, bat sahi hai ki pahle ‘Ye lamha filhal ji lene de..’
    Ek sahi jiya hua aadmi hi maut ko sahi mayne me tawazoo de sakta hai…

    Sabba khair!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *