yuheen.

raat badal gayi, din badal gaye kaise yuheen.
hum badal gaye, humraha badal gaye kaise yuheen.

kaise badal gaye woh khawb jo dekhe the,
manzilon ki chaha badal gayi kaise yuheen.

dekho kaise badal gayi kadmon ki rahatein,
chalte chalte saara sheher badal gaya kaise yuheen.

kaise? kaise yuheen?
bas, bas yuheen.

tanhaai – faiz ahmed faiz

This is ‘tanhaai’ by Faiz Ahmed Faiz. You can find Faiz’s own recitation here.

This is me reciting it: [direct audio link]
[audio:http://www.jaaduhai.com/tunes/adnan/bol7/tanhaai.mp3]

You will notice that it is somewhat different from Faiz’s. =)


phir ko’ii aayaa, dil-e-zaar! nahiin, ko’ii nahiin;
raah-rau hogaa, kahiin aur chalaa jaaegaa.
dhal chukii raat, bikharne lagaa taaron kaa ghubaar,
larkharaane lage aiwaanon mein khwaabiida charaagh,
so ga’ii raasta tak takke har ek rah guzaar;
ajnabi khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh.

gul karo shamiin, barhaa do mai-o-miinaa-o-ayaagh,
apne be khwaab kivaaron ko muqaffal kar lo;
ab yahaan ko’ii nahiin, ko’ii nahiin aayega!


Oh and the last bit of “koi nahin” naturally comes from the first line of this poem.

koi nahin

kaun nahin?
kaun kaun nahin?
kaun kahaan nahin?
kaun yahaan nahin?
kisne kya kahaa?
kisne kya kahaa nahin?
kisne kuch kahaa?
kisne kehdiya nahin?
kaun ayaa nahin?
kaun jataa nahin?
kisne sunaa?
kisne dekha nahin?
dekho…
koi nahin…
koi nahin.

khafa

kyun hai dil khud se khafa?
kya hai naraazgi ki whajha?
jaaye to ab jaaye kahaan?
dil se kaise faasle, kaise dil se dooriyaan?

poonchta hoon khud se yeh sawaal,
par jaanta hoon kya marz hai.
dil se hoon is liye khafa,
kyun ke dil badaa khudgarz hai.

tera naam

bhatakti nigahen
woh rahaa dhoondti hai
asmaan dhoondti hai
dektho to
saara jahaan dhoondti hai
par meri aanhkein
sirf teri aaha dhoondti hai

bhatakti nigahen
woh jaam dhoondti hai
sar-e-aam dhoondti hai
jeetne ko
koi eenaam dhoondti hai
par meri aankhein
sirf tera naam dhoondti hai

gulzar ke nazm

These are two interesting Gulzar poems.

The first one is “Maut”(Death) . It’s from Anand, my favourite movie, and it’s recited in my favourite scene in the movie.

maut

[direct audio link]
[audio:http://www.jaaduhai.com/tunes/adnan/bol5/kavita1.mp3]


maut tu ek kavita hai
mujhse ek kavita ka vaada hai, milegi mujhko

doobti nafzoon mein jab dard to neend aane lage
zard sa chehra liye chand ufak tak pohnche
din abhi paani mein ho, raat kinare ke kareeb
na andhera, na ujaala ho
na abhi raat, na din
jism jab khatm ho, aur rooh ko jab(*) saans aaye

mujhse ek kavita ka vaada hai, milegi mujhko

(*) The word “jab” is in the actual poem, however I left it out while reciting.

The second poem needs no introduction.

naam tera

[direct audio link]
[audio:http://www.jaaduhai.com/tunes/adnan/bol5/naamtera.mp3]


nazm uljhi hui hai seene mein
misre atke hue hain hothoon par

urte phirte hain titliyoon ki tarah
yeh(*) lafz kaagaz pe baithte hi nahin

kab se baitha hoon main jaanam
saade kaagaz pe likh ke naam tera

bas tera naam hi mukammal hai
is se behtar bhi nazm kya hogi
——

(*) “yeh” is actually not in the poem. It made it it a lot easier to recite with the “yeh”.